Hindi Lyrics > Namak Halaal > Kee Pag Ghungru Baandh Meera Naachee Thee

 

namak halaal Following is the lyrics of 'Kee Pag Ghungru Baandh Meera Naachee Thee' song from hindi movie 'Namak Halaal'.

 

Song
: Kee Pag Ghungru Baandh Meera Naachee Thee
Movie
: Namak Halaal
Singer(s)
: Kishore Kumar
Music By
: Bappi Lahiri

Kee Pag Ghungru Baandh Meera Naachee Thee Lyrics from Namak Halaal



 (Bujurgo ne
 Bujurgo ne, farmaya kee pairo pe apane khade hoke dikhalaao
 Phir yeh jamaana tumhaara hai
 Jamaane ke sur taal ke saath chalate chale jaao
 Phir har taraana tumhaara, fasaana tumhaara hai
 Arey toh lo bhaiya ham, apne pairo ke upar khade ho gaye
 Aur milaalee hai taal
 Dabaa lega daato tale ungliya, liya
 Yeh jahaan dekhkar, dekhkar apni chaal
 Wah wah wah wah..... dhanyavaad
 
 Kee pag ghungru
 Kee pag ghungru baandh meera naachee thee - (2)
 Aur ham naache bin ghungru ke
 Kee pag ghungru baandh meera naachee thee
 Woh tir bhala kis kaam ka hai
 Jo tir nishaane se chuke chuke chuke re
 Kee pag ghungru.....
 
 Aap andar se kuchh aur, bahar se kuchh aur najar aate hain
 Baakhuda shakal se toh chor najar aate hain
 Umar gujaree hai saaree choree me
 Saare sukh chain band jurm kee tijoree me
 
 (Aap ka toh lagta hai bas yahee sapna
 Raam naam japna paraaya maal apana) - (2)
 Watan ka khaaya namak, toh namak halaal bano
 Farj imaan kee jinda yaha misaal bano
 Paraaya dhan paraayee naar pe najar mat daalo
 Buree aadat hai yeh aadat abhee badal daalo
 Kyon ke yeh aadat toh woh aag hai jo
 Ik din apsna ghar phunke phunke phunke re, kee pag ghungru....
 
 Mausame ishk me machale huwe armaan hain ham
 Dil ko lagata hai ke do jism ek jaan hai ham
 Aisa lagata hai toh lagne me kuchh buraayee nahee
 Dil yeh kehata hai aap apanee hain paraayee nahee
 Sange marmar kee hai, koi murat ho tum
 Badhee dilkash badhee, khubsurat ho tum
 Dil dil se milne ka koi mahurat ho, pyaase dilo kee jarurat ho tum
 Dil chir ke dikhladu mai dil me yahee surat hasin
 Kya aapko lagata nahee ham hain mile pehle kahee
 Kya desh hai kya jaat hai, kya umrr hai kya naam hai
 Ajee chhodhiye inn baato se, hamko bhala kya kaam hai
 Ajee suniye toh
 Haam aap mile toh phir ho shuru, afsaane laila majanu, laila majanu ke
 Kee pag ghungru.....

Other 'Namak Halaal' Songs:
1: Javanee Janeman Hasin Dilruba
2: Javaanee Janeman Hasin Dilruba
3: Kee Pag Ghungru Baandh Meera Naachee Thee
4: Aaj Rapat Jaaye Toh Hame Naa Uthaiyyo


Hindi Lyrics By Movie Title

0-9 A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z