Hindi Lyrics > Narsi Bhagat > Darashan Do Ghanshyaam Naath Moree

 

narsi bhagat Following is the lyrics of 'Darashan Do Ghanshyaam Naath Moree' song from hindi movie 'Narsi Bhagat'.

 

Song
: Darashan Do Ghanshyaam Naath Moree
Movie
: Narsi Bhagat
Singer(s)
: Hemant Kumar, Manna Dey, Sudha Malhotra
Music By
: Ravi

Darashan Do Ghanshyaam Naath Moree Lyrics from Narsi Bhagat



 Darashan do ghanshyaam naath moree, ankhiya pyaasee re
 Mann mandir kee jyotee jagado, ghat ghat baasee re
 
 Mandir mandir murat teree, phir bhee naa dikhe surat teree
 Yug bite naa aai milan kee, puranamaasee re
 
 Dwaar daya kaa jab too khole, pancham sur me gunga bole
 Andha dekhe langada chaal kar, pahunche kaasee re
 
 Paanee pee kar pyaas bujhaau, nainon ko kaise samajhaau
 Aankh michaulee chhodo abb, mann ke baasee re
 
 Nibarl ke bal dhan nidharn ke, tum rakhwale bhaktjano ke
 Tere bhajan me sab sukh paau, mite udaasee re
 
 Nam jape par tujhe naa jaane, unako bhee too apana maane
 Teree daya kaa ant nahee hai, he dukh nashee re
 
 Aaj phaisala tere dwaar par, meree jit hai teree har par
 Har jit hai teree mai toh, charan upasee re
 
 Dwar khada kab se matavala, mange tum se har tumharee
 Narasee kee yeh binatee sunalo, bhakt vilaasee re
 
 Laj naa lut jaye prabhu teree, nath karo naa daya me deree
 Tin lok chhod kar aao, ganga nivaasee re


Other 'Narsi Bhagat' Songs:
1: Darashan Do Ghanshyaam Naath Moree


Hindi Lyrics By Movie Title

0-9 A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z